• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Badan Ke Dosh Pe Sanson Ka Maqbara Main Hun

Badan Ke Dosh Pe Sanson Ka Maqbara Main Hun

badan ke dosh pe sanson ka maqbara main huun

ḳhud apni zaat ka nauha huun marsiya main huun

bila-sabab bhi nahin yasiyat tabi.at men

azal se ḳhana-badoshi ka silsila main huun

mira vajud tumhari baqa ka zamin hai

tumhare an-kahe jazbon ka aa.ina main huun

baharen jis pe hon nazan chaman bhi rashk kare

nazar-navaz ruton ka vo qafila main huun

bichhaḌ ke mujh se abas manzilon ki chahat hai

jidhar bhi jaoge har-samt rasta main huun

un ahaTon pe miri vahm ka guman kaisa

main kah chuka huun miri jaan barha main huun

ghazal hai koi to main bhi huun lazmi hissa

kisi hayat ke misre men qafiya main huun

tumhen ḳhabar ho to dena pata mujhe ‘zakir’

jise talash hai ḳhud ki vo gum-shuda main huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Duniya Mein Yun to Har Koi Apni Si Kar Gaya

abrar-ahmad

dawam-e-Wasl Ka Khwab

Sufi

Aan Ki dil Burd Ze-Man Ghamza-e-Jadu-e-Tu Bud

Pahle Ki Ba-Nisbat Hai Mujhe Kaam Ziyaada

Karb Ki Lazzaton Ko DhunDenge

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet