abhi gunah ka mausam hai aa shabab men aa
nasha utarne se pahle miri sharab men aa
dhanak si khvab si khushbu si phir baras mujh par
nai ghazal ki tarah tu miri kitab men aa
utha na der tak ehsan mausam-e-gul ka
main zindagi huun mujhe ji mire azaab men aa
vo mere lab ke parinde vo tera jhil-badan
bujha na pyaas miri tu magar sarab men aa
tire dariche se hai duur mera darvaza
agar tu dard hai mera to dil ke baab men aa
main tujh ko jagti ankhon se chhu sakun na kabhi
miri ana ka bharam rakh le mere khvab men aa
Leave a Reply