• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dipak-Rag Hai Chahat Apni Kahe Sunaen Tumhein

Dipak-Rag Hai Chahat Apni Kahe Sunaen Tumhein

dipak-rag hai chahat apni kaahe suna.en tumhen

ham to sulagte hi rahte hain kyuun sulga.en tumhen

tark-e-mohabbat tark-e-tamanna kar chukne ke ba.ad

ham pe ye mushkil aan paḌi hai kaise bhula.en tumhen

dil ke zaḳhm ka rang to shayad ankhon men bhar aa.e

ruuh ke zaḳhmon ki gahra.i kaise dikha.en tumhen

dard hamari mahrumi ka tum tab janoge

jab khane aa.egi chup ki saa.en saa.en tumhen

sannaTa jab tanha.i ke zahr men bujhta hai

vo ghaḌiyan kyunkar kaTti hain kaise bata.en tumhen

jin baton ne pyaar tumhara nafrat men badla

Dar lagta hai vo baten bhi bhuul na jaa.en tumhen

rang-birange giit tumhare hijr men haath aa.e

phir bhi ye kaise chahen ki saari umr na paa.en tumhen

uḌte panchhi Dhalte saa.e jaate pal aur ham

bairan shaam ka daman thaam ke roz bula.en tumhen

duur gagan par hansne vaale nirmal komal chand

be-kal man kahta hai aao haath laga.en tumhen

paas hamare aakar tum begana se kyuun ho

chaho to ham phir kuchh duuri par chhoḌ aa.en tumhen

anhoni ki chinta honi ka anya.e ‘nazar’

donon bairi hain jivan ke ham samjha.en tumhen

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdul-majeed-salik

Gham Ke Hathon Mere dil Par Jo Saman Guzra Hai

etibar-sajid

Ye Hasin Log Hain Tu Inki Murawwat Pe Na Ja

poet

Jate Hai Khanqah Se Waiz Salam Hai

Pichhli tariKH Ka aKHbar Sambhaale Hue Hain

Hairat Hai Jinhen Meri Taraqqi Pe Jalan Bhi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet