ab bhi aksar dhyan tumhara aata hai
dekho guzra vaqt dobara aata hai
aah nahin aati hai ab to honTon tak
siine se bas ik angara aata hai
jaane kis duniya men soti jagti hain
jin ankhon se ḳhvab hamara aata hai
din bhar jangal ki avazen aati hain
raat ko ghar men jangal saara aata hai
jin raton men chand ho ya phir chand na ho
yaad bahut us ka ruḳhsara aata hai
Leave a Reply