ḳhushi men yuun izafa kar liya hai
bahut sa gham ikaTTha kar liya hai
hamen ham se bachane kaun aata
so ab ḳhud se kinara kar liya hai
miri tanhai ka aalam to dekho
zamane bhar ko yakja kar liya hai
tujhe jaane ki jaldi thi so ḳhud se
tire hisse ka shikva kar liya hai
nahin mangenge tujh ko ab dua men
ḳhuda se ham ne jhagḌa kar liya hai
taraste hain jise milne ki ḳhatir
usi ko apni duniya kar liya hai
vo kya hai ishq ham ne ab ki janan
takalluf men ziyada kar liya hai
andheron men to rakhte hi the ḳhud ko
ujalon men bhi tanha kar liya hai
khule pinjre men bhi jis ko hai vahshat
ye dil aisa parinda kar liya hai
Leave a Reply