badal badal ke vahi suraten dikha.e kahin
ye ahd-e-nau bhi purane hi dukh na laa.e kahin
phir us ke husn ki rangat na ho baharon men
phir us ki zulf ki ḳhushbu hava na laa.e kahin
nigah ruk ga.i kis par ki phir haTi hi nahin
qadam ukhaḌ ga.e aise ki jam na paa.e kahin
bahut hai rind-e-ḳharabat aj-kal hushyar
ki mai piye ye kahin aur laḌkhaḌa.e kahin
ye aarzu bhi ki chilla.un puuri quvvat se
ye ḳhauf bhi ki sada koi sun na paa.e kahin
ajiib khel ‘munavvar’ ye ham ne dekha hai
kahin hai dhuup faqat aur sirf saa.e kahin
Leave a Reply