bada khushnuma ye maqam hai nai zindagi ki talash kar
tu na apne zehn ki baat kar nai dosti ki talash kar
tire asman ka sar kabhi kisi aur zamin pe jhuk gaya
ye hua to aisa hua hi kyuun kabhi us kami ki talash kar
kabhi khvahishon ke hujum men jo phisal gae hain mire qadam
jise pi ke dahr sambhal gaya usi mai-kashi ki talash kar
jo bahar ko bhi aziiz thi vahi shaam lutf-o-surur ki
jise siskiyon ki nazar lagi usi zindagi ki talash kar
jahan aadmi ki baqa rahe jahan fikr-o-fan ko jila mile
jahan dard-e-nau ka pata mile vahan agahi ki talash kar
na udaas shaam ke falsafe na bahar-e-sub.h ki raunaqen
na asl ziist ke zer-o-bam na to naghmagi ki talash kar
jo bhi guftugu ka usuul hai usi baat ka tu khayal rakh
nai kaenat ki justuju nai raushni ki talash kar
Leave a Reply