apne mar-miTne ke asbab bahut dekhta huun
ishq vaala huun tire ḳhvab bahut dekhta huun
ye bhi hai ek sabab is miri tanha.i ka
apne charon taraf ahbab bahut dekhta huun
aur to aur tiri yaad se bhi huun ghafil
main yahan ḳhud ko zafar-yab bahut dekhta huun
kuchh to us husn men rakhi hai ḳhuda ne tasir
aur kuchh logon ko betab bahut dekhta huun
arsa-e-dahr to hai meri nigahon ka tilism
jab bhi main dekhta huun ḳhvab bahut dekhta huun
in dinon apne ko rakhta huun bahut ḳhud ke qarib
in dinon dahr ko ḳhun-nab bahut dekhta huun
mujh ko marna hai kisi jhiil si a.ankhon men ‘tur’
hai yahi vaj.h ki mahtab bahut dekhta huun
Leave a Reply