bach-bacha kar jab kaha tarif main kam paḌ gaya
aur khul ke likh diya to sher men zam paḌ gaya
vaqt par nikle the aur ab tak pahunch jaate bhi ham
biich men lekin mua aamon ka mausam paḌ gaya
chaudhvin ki raat thi par chandni thirki nahin
dekh ghungru ki udasi chand maddham paḌ gaya
sang-e-marmar ki zamin par ek sikka yuun gira
do ghaḌi ko chhaTpaTaya aur be-dam paḌ gaya
is takalluf ke shahar men log kanTon se chubhe
tu jo apna sa laga to dil pe marham paḌ gaya
Leave a Reply