ba-qadr-e-shauq maza iztirab ka na mila
ki dil ko dard mila bhi to la-dava na mila
kahan pahunch ke hua hai malal-e-gumshudgi
ye sun raha huun ki un ko mira pata na mila
maza mila tha mohabbat ki ibtida men magar
phir us ke ba.ad aziyyat mili maza na mila
bahut qarib thi sarhadd-e-be-ḳhudi lekin
ḳhudi ki had men bhaTakte rahe ḳhuda na mila
jabin-e-shauq men sajde the inqalab-angez
magar ye ḳhair hui un ka naqsh-e-pa na mila
hayat-e-ishq ko didar-e-husn lazim hai
tire baghair kisi saans men maza na mila
talash-e-husn to hai himmat-azma ‘shahid’
miri nigah ko ab tak mira pata na mila
Leave a Reply