ba-qadr-e-hasrat-e-dil zulm bhi Dhana nahin aata
vo kya taskin denge jin ko taḌpana nahin aata
baqa-e-javedan ke raaz se vaqif nahin ai dil
jinhen rah-e-vafa men ḳhaak ho jaana nahin aata
badalte rahiye unvan sharh-e-rudad-e-mohabbat ke
kisi surat tamami par ye afsana nahin aata
gira de qasr-e-istibdad jo ik nara-e-hu se
nazar aisa koi bhi aaj divana nahin aata
Leave a Reply