ba-har-surat Thahar jaana paḌega
agar raste men mai-ḳhana paḌega
mohabbat men sukun-e-dil ki ḳhatir
kisi din zahr bhi khana paḌega
abhi manzil kahan ai zauq-e-manzil
abhi to manzilon jaana paḌega
na puchho mujh se vaj.h-e-be-qarari
bhari mahfil men sharmana paḌega
kahan ja.un main tere dar se uTh kar
palaT kar phir yahin aana paḌega
yahi pur-lutf ulfat ho to puḳhta
sarapa dard ban jaana paḌega
hain kya dair-o-haram un ki talab men
ḳhuda jaane kahan jaana paḌega
tamanna-e-vafadari salamat
unhen bhi haath phailana paḌega
javani abru-e-zindagi hai
ye daulat kho ke pachhtana paḌega
samajh lo ‘jurm’ dastur-e-mohabbat
zamane bhar ko samjhana paḌega
Leave a Reply