kun-fayakun ka hasil yaani mitti aag hava aur paani
pal men baqa ka pal men faani mitti aag hava aur paani
nagri nagri phirti hain ye divaren bhi saath hi mere
karte hain meri nigrani mitti aag hava aur paani
khak-basar huun shola-ba-jan huun ah-kunan huun ashk-fishan huun
dekh tu apni karistani mitti aag hava aur paani
mera kya hai mar jaunga charon or bikhar jaunga
aap kahan jaenge jaani mitti aag hava aur paani
main kabhi shoala huun kabhi shabnam gaahe zakhm to gaahe marham
karte hain mujh men khincha-tani mitti aag hava aur paani
main aina dekh raha huun lekin ye kya dekh raha hai
mera aks pas-e-hairani mitti aag hava aur paani
ishq ki nisbat se hain zinda sahra suraj badal dariya
ishq nahin to sab be-maani mitti aag hava aur paani
Leave a Reply