azm-e-manzil-rasi ki baat karen
dosto zindagi ki baat karen
azmat-e-admi ki baat karen
shan-e-iskandari ki baat karen
din-o-duniya ki kufr-o-iman ki
aaj aao sabhi ki baat karen
ranj-o-gham to hain roz ke unvan
aaj hazz-o-ḳhushi ki baat karen
aaj gesu-e-vaqt suljha.en
phir kabhi ashiqi ki baat karen
Leave a Reply