aziyyaton ko kisi tarah kam na kar paaya
men apne haath abhi tak qalam na kar paaya
havale laakh dalil ek bhi na de shayad
nazar men kyuun kisi manzar ko zam na kar paaya
hai be-tarash abhi dast-e-zehn men ik naqsh
ki is ke rang ko main ham-qalam na kar paaya
hai sharm tishna-labi us ki jis se bujh jaati
men itna ḳhun-e-jigar kyuun baham na kar paaya
tahi-e-samar mire daman ko hi Thaharna tha
main mausamon ke qaside raqam na kar paaya
taravaton se bhara lafz dars hai jis ka
isi se ḳhud ko abhi tak vo kam na kar paaya
saval-e-sang tha sarzad pa tha mira manzur
main chup raha ki main ḳhud par sitam na kar paaya
Leave a Reply