azaab ho ga.i zanjir-e-dast-o-pa mujh ko
jo ho sake to kahin daar pe chaḌha mujh ko
taras gaya huun main suraj ki raushni ke liye
vo di hai saya-e-divar ne saza mujh ko
jo dekhe to isi se hai zindagi mere
magar miTa bhi rahi hai yahi hava mujh ko
usi nazar ne mujhe toḌ kar bikher diya
usi nazar ne banaya tha a.ina mujh ko
sarab-e-umr-e-tamanna ki tishnagi huun main
agar hai chashma-e-faiyaz to bujha mujh ko
kabhi to apne badan ke charagh raushan kar
kabhi to apne lahu se bhi aazma mujh ko
Leave a Reply