ye vaaiz kaisi bahki bahki baten ham se karte hain
kahin chadh kar sharab-e-ishq ke nashshe utarte hain
khuda samjhe ye kya sayyad o gulchin zulm karte hain
gulon ko todte hain bulbulon ke par katarte hain
daya dam nazaa men go aap ne par ruuh chal nikli
kisi ke rokne se jaane vaale kab thaharte hain
zara rahne do apne dar pe ham khana-ba-doshon ko
musafir jis jagah aram paate hain thaharte hain
na aa jaaya karo aghyar ki ulfat jatane men
vo tum par kyuun bhala marne lage faqon se marte hain
har ik mausam men kisht-e-arzu sarsabz rahti hai
taraddud ghair ko hoga yahan to chain karte hain
ye joda kholna bhi hech se khali nahin un ka
ulajh jaata hai dil jab baal shanon par bikharte hain
samajh lena tumhara ai raqibo kuchh nahin mushkil
khuda jaane ye kis ka khauf hai ham kis se darte hain
takalluf ke ye maani hain samajh lo be-kahe dil ki
maza kya jab hamin ne ye kaha tum se ki marte hain
Leave a Reply