• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Awwal To Ye dhaj Aur Ye Raftar Ghazab Hai

Awwal To Ye dhaj Aur Ye Raftar Ghazab Hai

mushafi-ghulam-hamdani

avval to ye dhaj aur ye raftar ghazab hai

tis pe tire pazeb ki jhankar ghazab hai

kyunkar na tujhe daud ke chhati se laga luun

phulon ka gale men tire ye haar ghazab hai

jab dekhun huun karti hai mire dil ko pareshan

ashuftagi-e-turra-e-tarrar ghazab hai

ai kaash ye ankhen mujhe ye din na dikhatin

is shauq pe mahrumi-e-didar ghazab hai

khurshid ka munh hai ki taraf ho sake us se

yaani vo bar-afrokhta rukhsar ghazab hai

main aur kisi baat ka shaki nahin tujh se

ye vaqt ke uupar tira inkar ghazab hai

ab tak haram-e-vasl se mahram na hue ham

kaabe men hijab-e-dar-o-divar ghazab hai

gar ek ghazab ho to koi us ko uthave

raftar ghazab hai tiri guftar ghazab hai

farhad bacha ishq se ne qais na vamiq

ji le hi ke jaata hai ye azar ghazab hai

ai ‘mushafi’ is shauq se tuk bach ke tu chalna

sunta hai miyan vo but-e-khun-khar ghazab hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

darshika-wasani

Tumhaari Aankhen

Teri Ye Zulfen Nahin Tere ruKH-E-Raushan Ke Pas

Ranj Aur Ranj Bhi Tanhai Ka

qateel-shifai

Chakle

poet

Munawwar Ho Ke Kitni Dastan-E-Ashiqi Aai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet