auron ki baat yaan bahut kam hai
zikr-e-khair aap ka hi har dam hai
jaan tak to nahin hai tujh se daregh
ai main qurban kyuun tu barham hai
gaah rona hai kaah hansna hai
ashiqi ka bhi zor aalam hai
khush na paaya kisi ko yaan ham ne
dekhi duniya sara-e-matam hai
aah jis din se aankh tujh se lagi
dil pe har roz ik naya gham hai
magar aansu kisu ke ponchhe hain
astin aaj kyuun tiri nam hai
us ke aariz pe hai araq ki buund
ya ki ‘bedar’ gul pe shabnam hai
Leave a Reply