
Arman Najmi
pichhli rafaqaton ka na itna malal kar
apni shikastagi ka bhi thoḌa ḳhayal kar
Das le kahin tumhin ko na mauqa.a nikal kar
rakkho na astin men koi saanp paal kar
sharmindagi ka zaḳhm na gahra lage kahin
kuchh is qadar daraz na dast-e-saval kar
meri tarah na tu bhi ghuTan ka shikar ho
ḳhud apni ḳhvahishon ko na yuun pa.emal kar
jo aap ki nigah men itna buland hai
dekha hai us ka zarf bhi main ne khangal kar
lamhon ki tund mauj se bachna muhal hai
rakhkhoge kaise yaad ki ḳhushbu sambhal kar
‘arman’ bas ek lazzat-e-iz.har ke siva
milta hai kya ḳhayal ko lafzon men Dhaal kar

Leave a Reply