• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aur Mai-Khana-Nashin Chor Banae Na Gae

Aur Mai-Khana-Nashin Chor Banae Na Gae

riyaz-khairabadi

aur mai-khana-nashin chor banae na gae

ham dhare jaate hain nahaq kahin aae na gae

shokhiyan teri uthaengi mujhe bazm se kya

un se to sharm ke parde bhi uthae na gae

qaid naghme ki hui qaid-e-qafas par turra

ham se sayyad ko naale bhi sunae na gae

parda daala tiri rahmat ne mire isyan par

un farishton se mire aib chhupae na gae

kaun sa lutf na firdaus men paaya lekin

phir bhi duniya ke mire dil se bhulae na gae

jab chale su-e-lahad mud ke na dekha ghar ko

aise ruthe ki kisi se bhi manae na gae

ye samajh kar ki gunahgar hain kis malik ke

na gae hashr men ham aankh jhukae na gae

ghair ke jalne se kuchh aanch na aati tum par

kyuun alag baithe hue aag lagae na gae

na raha hashr men nazzare se mahrum koi

qabr se ek hamen aaj uthae na gae

kis ne dekha hamen kuche men hasinon ke ‘riyaz’

muft badnam hue ham kahin aae na gae

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Maktab Mein Tujhe Dekh Kise Hosh-E-Sabaq Hai

poet

Chain Kab Aata Hai Ghar Mein Tere Diwane Ko

nadiya-ambar-lodhi

dard Aur Gham Ke Mare Nikle Raat Safar Sahra Aur Main

Teri Rahmat Ne Kar Diya gustaKH

Wo Hai Aag Wo Pani Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet