
Meer Asar
‘asar’ ab tak fareb khata hai
teri baton ko maan jaata hai
dil kaḌa kar ke tujh se kuchh to kahun
ji men sau baar ye hi aata hai
ḳhush guzarti nahin hai koi aan
ishtiyaq ab nipaT satata hai
dil ko va.ade se kal nahin hoti
roz tu aj-kal batata hai
but-e-kafir ki be-muravvatiyan
ye hamen sab ḳhuda dikhata hai
dil mira tu ne hi churaya hai
nahin yuun nazren kyuun churata hai
main bhi naseh use samajhta huun
go bura hai pa mujh ko bhata hai
tere dar par main kab kab aata huun
dil mujhe baar baar laata hai
nala-o-ah ko mire sun kar
kahte ho yaan kise sunata hai
roz-o-shab kis tarah basar main karun
gham tira ab to ji hi khata hai
dil-e-na-qadr-dan ye gauhar-e-ashk
nit yunhi ḳhaak men milata hai
ji hi jaata hai dam-ba-dam mera
tujh ko bavar nahin ye aata hai
sham.a-ru dil ye misl-e-parvana
nahaq apne ta.iin jalata hai
teri in sho.ala-ḳhuyon ke huzur
be-tarah tujh pe ji jalata hai
kya karun aah main ‘asar’ ka ilaaj
is ghaḌi us ka ji hi jaata hai

Leave a Reply