ḳhud dekh ḳhudi ko o ḳhud-ara
pahchan ḳhuda ko bhi ḳhuda-ra
tirchhi ye nigah hai ki aara
har juzv-e-jigar hai paara paara
dekhenge buton ki ham kaji ko
sidha hai agar ḳhuda hamara
kyuun maut ke asare pe jiite
ai ziist hamen to tu ne maara
allah-re dil ki be-qarari
khata hi nahin kahin sahara
jaan deni hai meri azma.ish
dildari hai imtihan tumhara
tufan hai josh-e-tishna-kami
dariya bhi to kar gaya kinara
shirini-e-jan ki kab khuli qadar
jab zahr hua hamen gavara
har shaḳh pe ashiyan hai larzan
is baagh men ho chuka guzara
gardish ka ‘qalaq’ ki dekhna auj
har qatra-e-ḳhun bana sitara
Leave a Reply