apnon ke darmiyan salamat nahin rahe
divar-o-dar makan salamat nahin rahe
nafrat ki gard jam.a nigahon men rah ga.i
ulfat ke qadr-dan salamat nahin rahe
raushan hain aarzu ke bahut zaḳhm aaj bhi
zaḳhmon ke kuchh nishan salamat nahin rahe
aisa nahin ki sirf yaqin dar-ba-dar hua
dil ke ka.i guman salamat nahin rahe
mahfuz bam-o-dar hain sadaqat ke aaj bhi
dhoke ke pandan salamat nahin rahe
apnon se apne lahje men baton ka hai kamal
kuchh shaḳhs bad-zaban salamat nahin rahe
vo log be-adab the ‘kanval’ be-ḳhulus the
ham jaise be-zaban salamat nahin rahe
Leave a Reply