• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Apni Ruswai Ka Ehsas to Ab Kuchh Bhi Nahin

Apni Ruswai Ka Ehsas to Ab Kuchh Bhi Nahin

apni rusva.i ka ehsas to ab kuchh bhi nahin

honT hi sun hain ḳhamoshi ka sabab kuchh bhi nahin

ye ujalon ke jazire ye sarabon ke dayar

sehr-o-afsun ke siva jashn-e-tarab kuchh bhi nahin

bah ga.e vaqt ke sailab men jismon ke suhag

ab na vo chashm na ruḳhsar na lab kuchh bhi nahin

reza reza hai kisi ḳhvab-e-zar-afshan ka tilism

fasl-e-gul anjum-o-mahtab ye sab kuchh bhi nahin

mere aansu inhen karte hain ujagar kuchh aur

pahle jo log sabhi kuchh the aur ab kuchh bhi nahin

ham pe to sub.h se raushan thi ye sham-e-be-kaif

tum ko is shaam se andaza-e-shab kuchh bhi nahin

shahr-e-dil shahr-e-ḳhamoshan ki tarah hai gunjan

kitna abad magar shor-o-shaghab kuchh bhi nahin

ye jahan alam-e-asbab hai nadan na bano

kaun manega tabahi ka sabab kuchh bhi nahin

rang-o-bu gul se mukar jaa.en to rahta kya hai

aag bujh jaa.e to suraj ka laqab kuchh bhi nahin

ḳhol hi ḳhol hai nau-ḳhez dabistan-e-ḳhayal

shor hi shor hai taḳhliq-e-adab kuchh bhi nahin

gum raho gum ki yahan jurm hai iz.har-e-kamal

chup raho chup ki yahan nam-o-nasab kuchh bhi nahin

meri taḳhrib se yaron ka bhala kya hoga

meri punji to ba-juz zauq-e-adab kuchh bhi nahin

us taraf va hai dar-e-rahmat-e-yazdan ‘danish’

is taraf vus.at-e-daman-e-talab kuchh bhi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Roke Se Kahin Hadsa-E-Waqt Ruka Hai

Yaaden Chalen KHayal Chala Ashk-E-Tar Chale

Dil Liya Hai to Bewafa Na Bano

Kuchh Log Samajhne Hi Ko Tayar Nahin The

asrarul-haq-majaz

Khamushi Ka To Nam Hota Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet