sub.h-e-nau laati hai har shaam tumhen kya ma.alum
zaḳhm ḳhushiyon ke hain paigham tumhen kya ma.alum
bhuul kar bhi jo kisi bazm men aaya na gaya
sainkaḌon us pe hain ilzam tumhen kya ma.alum
log gulshan men to chalte hain sar-afrazi se
un men kitne hain tah-e-dam tumhen kya ma.alum
kuchh andhere bhi ḳhatavar-e-tabahi hain magar
raushni par bhi hai ilzam tumhen kya ma.alum
jis ko tum DhunDte ho sham-e-ruḳh-e-naz liye
vo to arse se hai gumnam tumhen kya ma.alum
jo ruḳh-e-zist pe tha harf-e-ghalat ki manind
mil raha hai use in.aam tumhen kya ma.alum
jo kafan bandh ke chalte hain vafa ki rah men
zindagi kar chuke nilam tumhen kya ma.alum
surḳh-ru kaun hua kucha-e-janan men kabhi
namvar bhi hue badnam tumhen kya ma.alum
do qadam bhi na chale rah-e-vafa men ham log
hai abhi zauq-e-talab ḳhaam tumhen kya ma.alum
jo jala raat ki tanha.i men us par bhi ‘ḳhayal’
bevafa.i ka hai ilzam tumhen kya ma.alum
Leave a Reply