• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Samajh Ke Zulm Karo Ai Buto Khuda Bhi Hai

Samajh Ke Zulm Karo Ai Buto Khuda Bhi Hai

poet

samajh ke zulm karo ai buto khuda bhi hai

tumhare jaur-o-jafa ki kuchh intiha bhi hai

agar main jaunga puchhunga ye masiha se

ki mere dard-e-jigar ki koi dava bhi hai

kabhi raha mire lab tak kabhi vahan pahuncha

ye naala mera rasa aur na-rasa bhi hai

fasana qais ka logon se sun liya hoga

ye mera qissa-e-gham aap ne suna bhi hai

musafiran-e-adam aae do-ghadi ke liye

sara-e-dahr men aa kar koi raha bhi hai

tamasha dekhiye vo baad-e-qatl bhuul gaya

ki mere dar pe koi kushta-e-ada bhi hai

jafa-o-jaur se un ke to ho gaya aajiz

buton ke ishq ka is dil men hausla bhi hai

samajh ke khar-e-mughilan to sar utha apna

ki rahravon men ik ashiq barhana-pa bhi hai

safina bahr-e-musibat se paar kar dega

khuda samajhte ho jis ko vo nakhuda bhi hai

uthao shauq se manzil men tum qadam apne

ki rahzan jo hai is men vo rahnuma bhi hai

nazar se shaikh ki chhup kar chala huun piine ko

‘jamila’ abr hai barish hai aur hava bhi hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Phir Mere Sar Pe kaDi Dhup Ki Bauchhaar Giri

poet

Sitam Sa Koi Sitam Hai Tera Panah Teri

Ishq Jab Tak Na Aas-Pas Raha

Zaban Se Dil Ka Fasana Ada Kiya Na Gaya

To Sharafaton Ka Maqam Hai to Sadaqaton Ka Dawam Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet