ḳhud apni mahfil men tha paraya
ki ek main hi tha bin-bulaya
vo jis ki ḳhatir main ji raha tha
vo pal bhi aḳhir guzar aaya
ajab tha ye ishtirak-e-baham
main ek vahshat vo ek saaya
nigarish-e-jan tire liye main
hazar marg-o-hayat laaya
badan se ab ho raha huun ruḳhsat
ada nahin kar saka kiraya
sarab nikla tira ta.aqub
main zindagi ko ganva hi aaya
Leave a Reply