tiri chashm-e-tar men ravan-davan gham-e-ishq ka jo malal hai
ye hi ibtida-e-firaq hai ye hi intiha-e-visal hai
hai qarib phir bhi hai ajnabi tu idhar nahin main udhar nahin
kisi raah ke hain do samt ham main junub huun tu shumal hai
miri halaton men nihan hain ab tiri justuju ki kharabiyan
na main gham-zada na main shadman mira haal bhi koi haal hai
tu sitam kare to inayaten main gila karun to shikayaten
tira har sukhan vahi arsh ki mera bolna bhi muhal hai
vo bura kahe mujhe rat-din ye raza hai us ke mizaj ki
use ‘afi’ main bhi bura kahun kahan mujh men itni majal hai
Leave a Reply