ek aalam hai ye hairani ka jiina kaisa
kuchh nahin hone ko hai apna ye hona kaisa
khuun jamta sa rag-o-pai men hue shal ehsas
dekhe jaati hai nazar haul tamasha kaisa
regzaron men sarabon ke siva kya milta
ye to malum tha hai ab ye achambha kaisa
aable paanv ke sab phuut bahe be-nishtar
raas aaya hamen in kharon pe chalna kaisa
phir kabhi sochenge sach kya hai abhi to sun len
log kis kis ke liye kahte hain kaisa kaisa
suui ankhon ki bhi main ne hi nikali thi magar
dekh ke bhi mujhe us ne nahin dekha kaisa
kitni saada thi hatheli miri rangin hui
meri ungli men utar aaya hai kanta kaisa
aina dekhiye ‘bilqis’ yahi hain kya aap
aap ne apna bana rakkha hai huliya kaisa
Leave a Reply