apni har haar pe ik jashn manate rahiye
zindagi bojh sahi bojh uThate rahiye
koi aane ke liye koi to ho andar bhi
falsafe chhoḌiye zanjir hilate rahiye
raah chalne ke liye paanv zaruri to nahin
sar nahin na sahi dastar sajate rahiye
kya zaruri hai ki har kaam saliqe se ho
jazbe ThanDe sahi cigarette jalate rahiye
koshish-e-rukniyat-e-urdu-academy na sahi
kam se kam she.ri pulande to chhapate rahiye
agahi jurm hai be-sud hai bedari ‘vasim’
aap bhi soiye auron ko sulate rahiye
Leave a Reply