apne sab yaar kaam kar rahe hain
aur ham hain ki naam kar rahe hain
tegh-bazi ka shauq apni jagah
aap to qatl-e-am kar rahe hain
dad-o-tahsin ka ye shor hai kyuun
ham to khud se kalam kar rahe hain
ham hain masruf-e-intizam magar
jaane kya intizam kar rahe hain
hai vo bechargi ka haal ki ham
har kisi ko salam kar rahe hain
ek qattala chahiye ham ko
ham ye ealan-e-am kar rahe hain
kya bhala saghar-e-sifal ki ham
naf-pyale ko jaam kar rahe hain
ham to aae the arz-e-matlab ko
aur vo ehtiram kar rahe hain
na uthe aah ka dhuan bhi ki vo
ku-e-dil men khiram kar rahe hain
us ke honton pe rakh ke hont apne
baat hi ham tamam kar rahe hain
ham ajab hain ki us ke kuche men
be-sabab dhum-dham kar rahe hain
Leave a Reply