apne jaise divanon ki thoḌi to imdad karun
sos raha huun hushyari se pagal-pan ijad karun
zarb laga kar aisa chiḳhun sannaTe bhi Dar jaa.en
lekin pahle avazen to pinjre se azad karun
patthar khane se achchha hai patthar ko hi toḌa jaa.e
ishq ijazat de to ḳhud ko majnun se farhad karun
tu badal men paani bhar ke rakh de tapte sahra men
aur main dhuup ko saaya karke barish ke din yaad karun
pahle to main gham ke saare dastavez jala.unga
ba.ad men sochunga main un par ro.uun ya fariyad karun
badal kitna pagal hai jo mere hijr pe rota hai
na main badal na main pagal kyon ankhen barbad karun
Leave a Reply