apne honton se aazma ke to dekh
mere ashar gunguna ke to dekh
dhadkanon ki zaban urdu hai
mere dil men kabhi sama ke to dekh
lutf kya aata hai sambhalne men
mere sang tu bhi ladkhada ke to dekh
kyuun tira aks ban gaya huun main
ru-ba-ru aaine ke aa ke to dekh
kar ke dariya ko paar meri tarah
tu bhi kashti kabhi jala ke to dekh
shahr se duur chal ke gaanv men
ek chhota sa ghar basa ke to dekh
Leave a Reply