aankh ne dhoka khaya tha ya saaya tha
vo khiḌki men aaya tha ya saaya tha
darvaze ke pichhe ik parchha.in thi
us ne haath hilaya tha ya saaya tha
ek lakir dhuen ki thi ya ḳhushbu ki
rang koi lahraya tha ya saaya tha
abhi jo mere paas tha shayad apna tha
shayad koi paraya tha ya saaya tha
niind se jaaga huun to baiTha sochta huun
ḳhvab men us ko paaya tha ya saaya tha
Leave a Reply