apne honton par sajana chahta huun
aa tujhe main gungunana chahta huun
koi aansu tere daman par gira kar
buund ko moti banana chahta huun
thak gaya main karte karte yaad tujh ko
ab tujhe main yaad aana chahta huun
chha raha hai saari basti men andhera
raushni ko, ghar jalana chahta huun
akhri hichki tire zaanu pe aae
maut bhi main shairana chahta huun
Leave a Reply