• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Apne Dil Ka Haal Na Kahna Kaisa Lagta Hai

Apne Dil Ka Haal Na Kahna Kaisa Lagta Hai

apne dil ka haal na kahna kaisa lagta hai

tum ko apna chup chup rahna kaisa lagta hai

dukh ki bunden kya tum ko bhi khati rahti hain

ahista ahista Dhahna kaisa lagta hai

dard bhari raten jis dam halkore deti hain

dariyaon ke ruḳh par bahna kaisa lagta hai

main to apni dhun men chakraya sa phirta huun

tum ko apni mauj men rahna kaisa lagta hai

kya tum bhi sahil ki surat kaTte rahte ho

pal pal gham ki lahren sahna kaisa lagta hai

kya shamen tum ko bhi shab bhar be-kal rakhti hain

tum suraj ho tum ko lahna kaisa lagta hai

kya tum bhi galiyon men ghar ki vus.at paate ho

tum ko ghar se bahar rahna kaisa lagta hai

kam-ahang suron men tum kya gaate rahte ho

kuchh bhi na sunna kuchh bhi na kahna kaisa lagta hai

dard to sanson men baste hain kaun dikha.e tumhen

phulon par ḳhushbu ka gahna kaisa lagta hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jab Bhi Hansi Ki Gard Mein Chehra Chhupa Liya

poet

Koi Bhi Lafz-E-Ibrat-Ashna Main paDh Nahin Sakta

Duniya Ki Is bhiD Mein Kho Gae Jaane Kitne Log

shad-azimabadi

Kuchh Kahe Jata Tha Gharq Apne Hi Afsane Mein Tha

Hadis-E-talKHi-E-Ayyam Se Taklif Hoti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet