• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Apne Andar Se Jo Bahar Nikle

Apne Andar Se Jo Bahar Nikle

apne andar se jo bahar nikle

ḳhud-numa.i ka samundar nikle

ab saza.en hi muqaddar Thahrin

taziyanon ke sana-gar nikle

aise bhi log hain is shahr men jo

dhuup men barf pahan kar nikle

faḳhtaon ka tamasḳhur tauba

chiyunTiyon ke bhi ajab par nikle

haath jab qabza-e-shamshir pe ho

kyuun na maqtal men dilavar nikle

khinch do daar pe dil-daron ko

shahryaron ka zara Dar nikle

jis bhi divar men dar karta huun

vahi divar pas-e-dar nikle

kashtiyan chhoḌ ke dariyaon men

regzaron se shanavar nikle

andhiyon men bhi khaḌe hain ab tak

ham daraḳhton se qad-avar nikle

bhiik us shahr men ham kya mangen

jis ke hatim bhi gadagar nikle

paanv men bandh ke ghunghru ‘mohsin’!

chand qabron ke mujavir nikle

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

zindagi se dur kab tak jaoge

KHushamad Kar Ke Wo Pahron Kabhi Mujhko Manata Hai

Main Gahri Nind Mein Tha Jab Ki Ye Bheji Gai Duniya

Mujhko Na Aazma Sitam-E-Rozgar Se

Kuchh Aisa to Abhi Socha Nahin Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet