daur-e-tufan men bhi ji lete hain jiine vaale
duur sahil se kisi mauj-e-gurezan ki tarah
dil ki vaadi men tira dard barasta hi raha
abr-e-naisan ki tarah abr-e-baharan ki tarah
fasle vaqt men tabdil hue jaate hain
zindagi raqs men hai gardish-e-dauran ki tarah
dil ki taskin ko mange ka ujala kahiye
raat ik shoḳh ki yaad aa.i thi mehman ki tarah
aarzu aur zamane ki kashakash se gurez
zindagi aur charagh-e-tah-e-daman ki tarah
gar na ho ḳhatir nazuk pe garan to kah duun
baat bhi dil men utar jaati hai paikan ki tarah
ek tasvir bani sarhad-e-iz.har se duur
nutq hairan hai mire dida-e-hairan ki tarah
chand nikhra hai tiri lauh-e-jabin ki surat
raat bikhri hai tiri zulf-e-pareshan ki tarah
kis ne hans hans ke piya zahr-e-malamat paiham
kaun rusva sar-e-bazar hai ‘taban’ ki tarah
Leave a Reply