apne andar bhi ham-navai nahin
aql ki ruuh tak rasai nahin
sauda-bazi agar na ho is men
neki karne men kuchh burai nahin
har ada se ada nikalti hai
itni asan ashnai nahin
ham se qaaem hai tere husn ki shaan
ye miri jaan! khud-satai nahin
kitna tanha huun dasht-e-ghurbat men
mera bhaai bhi mera bhaai nahin
kisi unvan se kabhi ‘abid’
zindagi ham ko raas aai nahin