anjuman-e-bahar men naz-e-butan ki baat kar
lutf-e-ḳhiram saqi-o-sarv-e-ravan ki baat kar
shaiḳh-e-haram ka zikr kya dekh umanD chali ghaTa
saqi-e-nau-bahar ki pir-e-mughan ki baat kar
zohd-o-vara.a ka vasta ju-e-tahur ki qasam
aaj kisi ke dida-e-bada-fishan ki baat kar
tauba ki aaj fatiha paḌhne chale hain bada-kash
abr siyah-posh hai ratl-s-giran ki baat kar
Leave a Reply