aks mismar karta jaata huun
roz ik aa.ina banata huun
phone karta huun barha har shab
jagta huun use jagata huun
jab bhi aata hai yaad tu mujh ko
naam tak apna bhuul jaata huun
kya ajab hai ki tez andhi men
ik diya sa main TimTimata huun
vo kahani mujhe nahin azbar
roz duniya ko jo sunata huun
chand ḳhushiyon ke vaste ‘jazib’
roz kitne hi gham kamata huun
Leave a Reply