vo aghaz-e-mohabbat ka zamana
zara si baat banti thi fasana
qafas ko kyuun samajh luun ashiyana
abhi to karvaTen lega zamana
ye kah kar sabr karte hain sitam par
hamara bhi kabhi hoga zamana
qafas se bhi nikala ja raha huun
kahan le jaa.e dekho ab-o-dana
ghurur itna na kar tir-e-sitam par
ki aksar chuuk jaata hai nishana
agar bijli ka Dar hoga to un ko
bulandi par hai jin ka ashiyana
kahani dard-e-dil ki sun ke puchha
‘qamar’ sach kah ye kis ka hai fasana
Leave a Reply