aks-e-raushan tira a.ina-e-jan men rakkha
ham ne tasvir ko hairat ke jahan men rakkha
kaun mayus tiri bazm-e-inayat se uTha
tere ikram ne kis kis ko guman men rakkha
koi mad.hosh na ho sa.at-e-gul-bosi men
us ne yuun phuul ko kanTon ki amaan men rakkha
vo samajhta tha ki hain sach ke ḳharidar bahut
rah gaya maal sabhi us ki dukan men rakkha
yaad ham aa na sake jashn-e-baharan men use
ham-safar jis ne hamen ahd-e-ḳhizan men rakkha
ik parinda bhi nahin peḌ pe baaqi ‘gulzar’
tiir sayyad ne kis vaqt kaman men rakkha
Leave a Reply