• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gulsitan-Dar-Gulsitan Ab Baghban Koi Nahin

Gulsitan-Dar-Gulsitan Ab Baghban Koi Nahin

gulsitan-dar-gulsitan ab baghban koi nahin

phuul sab tanha khaḌe hain titliyan koi nahin

dhuup achchhi lag rahi hai aaj kitne din ke baad

badalon ka duur tak nam-o-nishan koi nahin

ḳhushk lakḌi ki tarah se jal ga.e saare makan

ye ajab ki saari basti men dhuan koi nahin

naam kya dega koi in be-sabab halat ko

mehrban saare hain lekin mehrban koi nahin

apne ghar se duur rah kar har qadam hai imtihan

kaun kahta hai yahan par imtihan koi nahin

us ne apne shauq se dast-e-dua kaTva diye

us ke chehre par likhi ab dastan koi nahin

raat ki jhilon men utregi kahan se chandni

ham siyah-baḳhton ko bhi aisa guman koi nahin

kya ḳhabar kya ho gaya hai is muammar shaḳhs ko

din Dhale jangal se chunta lakḌiyan koi nahin

ik ajab sa hadsa dekha hai ‘safdar’ shahr men

ḳhushk hain sab ashiyan aur bijliyan koi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

meer-hasan

dariya Mein dub Jawe Ki Ya Chah Mein Pade

Sab Ke honTon Pe Ye Marne Ki Duaen Kaisi

poet

Baqa Ki Fikr Karo KHud Hi Zindagi Ke Liye

Koshish Bhi Ki to Dil Se Na Usko Bhala Sake

Uljhanon Mein Kaise Itminan-E-Dil Paida Karen

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet