ajiib us se bhi rishta hai kya kiya jaa.e
vo sirf ḳhvabon men milta hai kya kiya jaa.e
jahan jahan tere milne ka hai guman vahan
na zindagi hai na rasta hai kya kiya jaa.e
ghalat nahin mujhe marne ka mashvara us ka
vo mera dard samajhta hai kya kiya jaa.e
kisi pe ab kisi gham ka asar nahin hota
magar ye dil hai ki dukhta hai kya kiya jaa.e
kami na ki thi tavajjoh men aap ne lekin
hamara zaḳhm hi gahra hai kya kiya jaa.e
vo meri jaan ka dushman sahi magar yaaro
mire liye vahi achchha hai kya kiya jaa.e
Leave a Reply