ajiib shor parindon ki us uḌaan men tha
safar ke baad safar ka maza takan men tha
hava chali jo kabhi chaunk chaunk uThta tha
tamam dasht hi jaise kisi ke dhyan men tha
jo baat us ke muḳhalif thi us se kah na sake
ana ka ek samundar bhi darmiyan men tha
zara si baat pe jo shaḳhs jaan pe khel gaya
ḳhabar na thi vo baḌe saḳht imtihan men tha
ye kya ki tu bhi hifazat na kar saka meri
tujhe ḳhabar thi ki main bhi tiri amaan men tha
Leave a Reply