ajab pagal hai dil kar-e-jahan baani men rahta hai
ḳhuda jab dekhta hai ḳhud bhi hairani men rahta hai
main vo TuuTa hua taara jise mahfil na raas aa.i
main vo shola jo shab bhar aankh ke paani men rahta hai
koi aisa nahin milta jo mujh men Duub kar dekhe
mire gham ko jo mere dil ki virani men rahta hai
hazaron bijliyan TuTin nasheman bhi jala lekin
koi to hai jo is ghar ki nigahbani men rahta hai
ḳhuda aur naḳhuda donon ḳhajil hain haal par mere
main vo tinka huun jo aghosh-e-tughyani men rahta hai
rumuz-e-mumlikat ya rab ḳhirad samjhe ya tu jaane
junun mera to shauq-e-chak-damani men rahta hai
ghazal likhne se kya hoga ‘mujibi’ kuchh qaside likh
sharaf sunte hain ab tarz-e-sana-ḳhvani men rahta hai
Leave a Reply