ajab marhalon se guzara gaya main
phir is ḳhak-dan par utara gaya main
zarurat nahin tha main din bhar kisi ki
jahan shaam aa.i pukara gaya main
ḳhabar hi nahin thi safar hai kahan tak
jahan tak gaya vo sitara gaya main
mohabbat nahin main tamasha tha jaise
gali se tiri yuun guzara gaya main
main darvesh tha aur na ashiq magar dil
tire sang be-maut maara gaya main
mujhe to talab thi mohabbat ki ‘ḳhavar’
magar tohmaton se sanvara gaya main
Leave a Reply