ajab maamul hai avargi ka
gareban jhankti hai har gali ka
na jaane kis tarah kaise khuda ne
bharosa kar liya tha aadmi ka
abhi is vaqt hai jo kuchh hai varna
koi lamha nahin maujudgi ka
mujhe tum se bichhadne ke evaz men
vasila mil gaya hai shairi ka
zamin hai raqs men suraj ki janib
chhupa kar jism aadha tirgi ka
main ik hi sat.h par thahrunga kaise
utarta chadhta paani huun nadi ka
main mitti gundh kar ye sochta huun
mujhe fan aa gaya kuza-gari ka
khatak jaunga sofe ko tumhare
main banda baithne vaala dari ka
main us manzar men paaya hi gaya kab
jahan bhi zaviya nikla khushi ka
samundar jis ki ankhon ka ho khali
vo kaise khvab dekhe jal-pari ka
nikalo kiil ko divar men se
vagarna taang lo photo kisi ka